Bin teray katt-ti nahi yeh zindagi ki gharriyaan
teri yaadun sey rahaai kis tarah paaen ham.Pyar,mohabbat to dil waalun ka kaam hai
jo nahi rakhtay dil,unhain kis tarah samjhaaen ham.
Koii taqat juda na kar sakay kabhi ham ko
mohabbat ka ehad-e-wafa iss tarah nibhaaen ham.
Qaraar aa jaey hamaray betaab dilun ko
khushiun k naghmay kuch iss tarah gaaen ham.
Bana dein apnay aashiyaan ko ham maanid-e-bahisht
wafa kay phoolun ko iss tarah sey mehkaaen ham.
Khilaa dein apni chahatun kay kanwal har suu
sada aik doosray ko iss tarah chahen ham.
Jahan tak bhi lay challen wafa kay rastay komal
rahen sang sang,qadam iss tarah barrhaaen ham.